Kisi ko dard de daina bht asan hota he
K dunia me siwaie dard k rkha kya he
Han!!
Bht asan hota he
Kisi ko dard de daina
Kisi ko zakhm de daina
Ksi k hont see daina
Kisi ka dil chura k phr
Use be-dil hi kar daina
Yahan k log aise hn
Sholon ki basti jaise hn
Dilon me utar jate hn
Nazar me jhilmilate hn
Zara c roshni karke
Zara c chandni karke
Honto pe hansi le kar
Dil ki sb kushi le kar
Ajab c zindagi ji kar
Gullon ki dil-lagi pi kar
Baahane phr bnate hn
Kaii sapne dikhate hn
Dil-e-ranjur k gam me
Dhukhi se geet gate hn
Magr!
Me ashnah aisa
Tere hatho na aon ga.
Na tujhe apna bnaon ga
Tujhe me dard hi dun ga
Teri nendain churaon ga.
Bna na aashna mujhko
Tu apna rahnuma mujhko
Mera daman sulagta he
Tera daman jalaoun ga
Tujhe makhmur kardun ga
Gammon se chur kardun ga
Fiza me dur jo urr kar
Hawa me bikhar jaoun ga
Magr!
Tere hatho na aoun ga
Q k
Kisi ko dard de daina bht asan hota he
K dunia me siwaie dard k rakha kya he. .