Monday, August 8, 2011

Kathan safar hai mohabaton ka, sarab rasty hain soch lena

Wo chhor jaty hain ik qadm per, jo sath chalty hain soch lena

Ye reet tm na nibha sako gy, na sang rehny ki bat krna

K ishq walon ki rahguzr mein, CHANAB aaty hain soch lena

Tmhy kaha tha k ban k apna, fareb deta hai ye zamana

Tmhy kaha tha k aastino mein sanp palty hain soch lena

Wo basti jahan py hm tm mily thy, mil k bichr gye thy

Wahan py ab b meri wafa k charagh jalty hain soch lena

No comments:

Post a Comment