Masnad-e-saaqi pe ab hain aab frosh..
Huey hain shehr badar shehr k sharab frosh..
Koi b dekhna chahy na apny chehry ko..
So jitny aaena gar they huwy naqaab frosh..
Ye keh k urr gaey baaghon se andleeb tamam..
Jo baghbaan they kabhi ab huwy gulaab frosh..
Na kashtyan hain na mallah hain na darya hain..
Tamam reg-e-rawan or sabhi saraab frosh..
Jo harf-e-dil kabhi khoon-e-jiger se likhtey thay..
Wo ehle-e-dil bhi ab ho gaye kitab farosh..
Nahin Faraz to logon ko yaad aata hai..
Wo naghma sanj, wo khush guftgu,wo naqaab frosh....!!
No comments:
Post a Comment