Sunday, August 7, 2011

HTML Sites Bnain

HTML
Sites kaise banti hain? Adsense, Hosting, Forum, Blog, Domain, Stealing code kya hai? Site se Earning kaise hoti hai? Flash, Mp3 Videos kaise post hoti hain?
Website k 2 parts hote hain.
1. Web Developming (Programming Coding)
2. Web Designing (Graphics, Adobe, Flash)
Hum abhi Web Developming sikhenge.
HTML k softwares Notepad, Frontpage,  aur Dreamviewer hain. Hum pehle Notepad use karenge. Baaki softwares aap ko step by step bataye jayenge. Html ki abbreviation Hyper Text Markup Language hai.
Html programming nahi balke Markup ka majmua hai. Isy tags bhi keh sakte hain. Total 90 tags hain jin mein se hum 30, 35 sikhenge.
Html tags k 2 parts hote hain. 1st <> and last </>
E.g Your data
Last mein / zaruri hai. Notepad open karen. Type:


And save as Index.html
Html ko start karne k liye sub se pehle ka tag likha jata hai taake notepad samajh jaye k hum ne html ki coding start karni hai.
2nd tag hai aur is mein Meta links, Scripts aur Style shamil hote hain. Aur is mein tag bhi shamil hota hai.
tag hamare page k top par hamari site ka title show karta hai. Aur Google search title par hi depend karta hai aur Search result mein aata hai.
4th tag ka tag hai. Body tag mein page ka background color aur font size rakhte hain. Like:

Color mein aap blue ki jagah koi bhi color ya word likh sakte hain. Chahe kisi ka naam hi likh den. Like "PkAry"
Body k baad main tags start ho jate hain.
Notepad open karen. Ab is mein Coding likhen aur Save kar len. Index.html k naam se aapka ye first page ban jayega.


My 1st Page


Salam frndz. Welcome in Html Course



Jab aap Index.html k file ko Desktop par save karenge to Internet Explorer ki file ban jayegi. Wo open karenge to aap ka Main page show ho jayega.
Html ki misaal ek Insan ki tarah hai, Jis mein pura Insan, uska Sir, uski Face aur Gardan se lekar Paaon tak
P8
Page mein Heading dene k liye tag use hota hai. Ye tags

se

tak hote hain.
E.g

This is a heading


My Web



Sub se pehle Www.byethost.com par jayen. Wahan apni Email Id se Registeration karen aur wahan apni site address yaani Domain ka link den. Aapka domain name kuch aisa hoga:
Www.yoursite.byethost.com
Jab registeration complete ho jayegi to wo aapko Pdf mein form denge.

Ftp par apni files upload karne k 3 methods hain.
1. Manually
2. Site se
3. Software se

Ftp upload karny k liye "Filezilla" aur "Cute ftp" Software use hoty hain. Koi sa bhi Download kar k Install karen aur Open karen.
Open karne k baad host mein ftp address aur saath mein id aur password de kar connect par click karen. Right side par (Filezilla mein) htdoc folder open hoga.
Htdoc folder mein apni drive se Index.htm ki file pakar k choren. Wo khud hi upload ho jayegi. Software sub se fast way hai site uploading k liye.

3rd Method: Site par apni account se login hon aur Site manager k option mein jayen. Wahan se bhi aap htdoc folder mein files upload kar sakte hain.
Ab site ho gayi. Magar naam Ajeeb hai na?
Www.MuradGull.byethost6.com
Agar main isko Www.MuradGull.tk se change kar loon to kaisa rahega?
Domain name change karen. Is k liye Www.dot.tk par jana hoga. Wahan register ho kar apni site address ko new name se change kar len.
Www.yoursite.tk
Net par ye sub free hai. Agar aap .Com k saath Domain lena chahte hain to wo 750 mein mil jayegi. Aur Hosting 1500 tak kam az kam 1 saal k liye. Domain aur Hosting k liye Murad bhai se contact karen.

Byethost.com k ilawa aur bhi bohot si sites hain jahan se aap free Domain aur Hosting le sakte hain Lekin kuch sites apni add laga dety hain.
Ye site to Manually banti hain. Kuch sites upload nahi karni parti. Hosting site aap ko khud design template aur online editor dety hain.
Www.ucoz.net best site hai. Is k liye wahan aap Www.yoursite.ucoz.com bana sakte hain. Aur byethost.com par Murad bhai ne Www.MuradGull.byethost6.com banai hai.

Ab Html ki taraf aaty hain.

tag Paragraph k liye use hota hai. Jab aap Paragraph banaen to
tag use karen.
E.g

This is a Paragraph

tag Bold k liye use hota hai. tag Italic (Tirchayi) aur tag Underline k liye use hota hai.
tag Fonts ko big karne aur tag Fomts ko small karne liye use hota hai.
E.g This is a Bold text
This is Italic text
This is Underlined text
This is a Big text
This is a Small text



Example


Today's Example

Some formatting effects
tag Link k liye use hota hai. Aap kisi bhi Web Address ka link, Software ya File ka downloding link ya 2nd page ka link de sakte hain.
E.g Dusri e.html" target="_blank">
2nd Page

Page link k baad target=_blank ka izafa zarur karen.
Software ka link dene k liye agar wo aap k site mein hi hai:
l wale folder mein rakhen aur usy koi bhi naam den. Ya 2ndPage.html ka naam de den.
Page link k liye same
Click here for next page

Aa jitny chahy pages add kar sakte hain.

Jab aap koi link ya page add karte hain to wo usi page mein open ho jata hai. Agar aap chahte hain k link new browse mein open ho to:

E.g Hi frndz. Its me
Jab aap picture add karty hain to us ka size By default hi aata hai. Size barra ya chota karne k liye hum Width="120"
Height="310" code add karty hain.
Picture size adjust:
Hi frndz. Its me


Images k liye:

Tag use hota hai link add karne ki tarah. Ya jo bhi picture aap chahte hain wo Mypic.jpg usi folder mein ho. Agar aap ne images k liye alag folder banaya hai to

Yahan images wo folder hai jahan Images hain.

Picture By default left side par hoti hai. Agar aap direction change karna chahte hain to image code mein align="right" ya align="center" code use karen.
Hi frndz. Its me

Agar picture ko link ya button k liye use karna chahte hain to:

Agar aap apni web k background mein koi picture lagana chahte hain to aapko tag mein picture add karna hoga.

Mypic.jpg ki jagah aap koi bhi naam use kar sakty hain. Aur dot k baad gif, jpg, tiff, png extension ka khayal rakhna hai. Warna images show nahi honge.

Html mein sub se interesting tag hai. Ye text, images ko left to right, right to left aur up to down move karata hai. Is se aap News flash, Slide bana sakte hain jaise News ki site par aaty hain.
Your text

Ye by default right side ko move karta hai.
Text ki direction change karny k liye:
Your text

Text neechy se upper ki taraf move karne k liye "left" ki jagah "up" aur neechy k liye ght="40">
Picture size aap apni marzi se de sakte hain.

mein movement ki 3 types hain jin ko Behaviour kehte hain.
1. Scroll
(Ye by default hoti hai)
2. Slide
(Text target par puhunch kar ruk jati hai)
3. Alternate
(Jahan se start hon wahin wapis aayengi)
E.g Your text


Text k saath saath aap images k link ko bhi move kara sakte hain.
E.g

Aur page link k liye:


For any site link:
Visit my Site




kisi text ya images ko Middle mein laany k liye use karte hain.
Your text

Aur image k liye:


Site par Music, Video add karne k liye kaafi code use hoty hain. Magar hum code use karenge.
E.g For Video:

For Audio:

For Flash Files:

Aap is code mein mpg, avi, mp3, wma, wav, mid formate use kar sakty hain.

Video ka size adjust karne k liye:

Yahan % dene ka matlab hai k video aap k browser mein kitny % page mein show ho. Aap % k baghair bhi de sakty hain magar us mein adjustment mein thori problem hoti hai. Images k code mein bhi aap % use kar sakty hain.

Agar aap chahte hain k jab bhi koi aapki site ko open kare to usy Background music sunai de aur Player bhi show na ho.

Ek baat ka khayal rakhen k jo bhi Audio, Video ho wo usi folder mein ho jahan aapki Html file hai. Warna wo Media file play nahi hogi.
Agar aapny media files bhi apne web page mein add ki hain to wo bhi aapko Index.html ki file k saath site par upload karni hogi. Agar aap apni files use nahi karna chahte to"down" use karen.

Agar aap apni site par Youtube k videos add karna chahty hain to Yotube.com ki site par jayen. Wahan video k neechy Embed ka button hoga. Us par click karen. Embed code show ho jayegi. Wo copy karen aur apni site par paste kar den. Ap k site par video add ho jayeg
Aap apni site par Tv channel bhi add kar sakty hain. Tv channel k liye asx aur swf files use hoti hain aur ye files aap ko Tv channel ki sites se steal aur grab krni hongi. Asx media streaming k liye use hoti hai aur uska code

mostly use hota hai.

HTML Part 4
END

No comments:

Post a Comment